to aaKHir saz-e-hasti kyun tarab-ahang-e-mahfil tha
nashat-ain kaif-e-be-dili yarab agar dil tha
ba-faiz-e-be-KHudi aise maqam-e-shauq mein hum the
jahan kar-e-husul-e-muddaa tahsil-e-hasil tha
maqam-e-hu suwaida-e-mujarrad aalam-e-hairat
meri gum-gashtagi se ab ye naqsha hai jahan dil tha
hamein kam-baKHt ehsas-e-KHudi us dar pe le baiTha
hum uTh jate to wo parda bhi uTh jata jo hail tha
kahan zauq-e-tan-asani mein aasani mayassar thi
talash-e-rahat-e-manzil mein dil gum-karda manzil tha
shikayat sun ke aadab-e-mohabbat kah diya us ne
mujhe kah sun ke chup hona paDa aaKHir ki qail tha
zaban-e-'dagh' o shan-e-'zauq' kuchh is mein nahin 'natiq'
are ye kya hai tu to ham-nawa-e-'nuh' o 'sail' tha
Ghazal
To aaKHir saz-e-hasti kyun tarab-ahang-e-mahfil tha
Natiq Gulavthi