titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
hum saja bhi len agar diwar-o-dar dekhega kaun
ab to hum hain jagne wale teri KHatir yahan
hum na honge to tere sham o sahar dekhega kaun
jis ki KHatir ham-suKHan sachchai ke raste chale
jab wahi us ko na dekhe to hunar dekhega kaun
sab ne apni apni aankhon par naqaben Dal lin
jo likha hai shahr ki diwar par dekhega kaun
be-sitara zindagi ke ghar mein ab bhi raat ko
ek kiran tere KHayalon ki magar dekhega kaun

Ghazal
Titliyan jugnu sabhi honge magar dekhega kaun
Noshi Gilani