اردو हिंदी
Tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi | Shaahi Shayari
tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi

Ghazal

Tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi

Sanaullah Zaheer

;

tishnagi bhi hai yahi aur yahi pani bhi
mar deti hai mohabbat ki farawani bhi

itna khul kar bhi mere raaz nihan hain mujh se
sat pardon ki tarah hai mujhe uryani bhi

chhoD kar tujh ko teri yaad ko apnana hai
is liye chehre pe raunaq bhi hai virani bhi

aks aaine se bahar paDa rah jata hai
chhoD jati hai kisi moD pe hairani bhi

dil mere dil gham-e-duniya se nipaT le ki abhi
tujhe karni hai nae zaKHm ki mehmani bhi

zindagi tujh ko basar karna bahut mushkil hai
kar rahe hain ki milegi kabhi aasani bhi