tishna-lab kahte rahe sunti rahi pyasi raat
subah tak chalti rahi durd-e-tah-e-jam ki baat
ye hawas-pesha hawas-kar hawas-KHu duniya
KHub hai jis mein bhaTakti hai guzargah-e-najat
paDte hi dil pe kisi shoKH nazar ka partaw
jagmagane lagi dhaDkan to saje mahsusat
jagmagati hai kiran dard ki dhaDkan dhaDkan
aap ko pesh karun pyar ki rangin saughat
ek masiha ki nishani hai ye hansta hua zaKHm
hum ko darkar nahin marham-o-darman-e-hayat
waqt zalim hai miTa deta hai shaddadon ko
aap ka zulm hai kya aap ki kya hai auqat
jam-o-aina yahi dil tha kisi din 'jawed'
us ne toDa hai jise sang-dili se haihat
Ghazal
Tishna-lab kahte rahe sunti rahi pyasi raat
Javed Vashisht