tishna-lab hun muddaton se dekhiye
kab dar-e-mai-KHana-e-kausar khule
taqat-e-parwaz hi jab kho chuki
phir hua kya gar hawa mein par khule
chaak kar sine ko pahlu chir Dal
yun hi kuchh haal-e-dil-e-muztar khule
raat talchhaT tak na chhoDi tab kahin
raaz-ha-e-baada-o-saghar khule
lo wo aa pahuncha junun ka qafila
panw zaKHmi KHak munh par sar khule
hun jo kasrat hi ke qail un pe kya
raaz-e-fath-e-sibt-e-paighambar khule
ru-numai ke liye laya hun jaan
ab to shayad chehra-e-anwar khule
ab to kashti ke muafiq hai hawa
naKHuda kya der hai langar khule
ye nazar-bandi to nikli radd-e-sehr
dida-ha-e-hosh ab ja kar khule
ab kahin TuTa hai baatil ka tilism
haq ke uqde ab kahin hum par khule
ab hua hai ma-siwa ka parda fash
marifat ke ab kahin daftar khule
faiz se tere hi ai qaid-e-farang
baal o par nikle qafas ke dar khule
jite ji to kuchh na dikhlaya magar
mar ke 'jauhar' aap ke jauhar khule
Ghazal
Tishna-lab hun muddaton se dekhiye
Mohammad Ali Jauhar