tishna-e-takmil hai wahshat ka afsana abhi
waqif-e-sud-o-ziyan hai tera diwana abhi
kyun na ho qurban sham-e-husn ke jalwon pe dil
apne jalwon se hai na-waqif ye parwana abhi
gul charagh-e-dair hai KHamosh hai sham-e-haram
saqiya raushan hai tere dam se mai-KHana abhi
ya tajalli tur ki hai KHud hijab-andar-hijab
ya nahin zauq-e-nazar apna kalimana abhi
dur hai manzil meri ek jam ai pir-e-mughan
rah mein aaenge kaba aur but-KHana abhi
dastan 'mansur' ki be-kaif ho sakti nahin
muddaton dohraegi duniya ye afsana abhi
Ghazal
Tishna-e-takmil hai wahshat ka afsana abhi
Gyan Chand Mansoor