teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
hamin jaante hain jo hum dekhte hain
ye haalat hui hai junun mein hamari
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
bahut dekh li hai zamane ki gardish
muqaddar ka ab zer-o-bam dekhte hain
tasawwur mein hain jin ke jalwe tumhaare
wo husn-e-do-alam ko kam dekhte hain
jhagaDte hain shaiKH-o-barahman magar hum
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
sar-e-bazm hai ehtiyat aaj aisi
na tum dekhte ho na hum dekhte hain
kisi chashm-e-maigun mein hum aaj 'rifat'
chhalakte hue jam-e-jam dekhte hain
Ghazal
Teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
Sudarshan Kumar Vuggal