teri yaadon ki naqqashi khurach kar phenk aae hain
jhulasti ret par hum ek samundar phenk aae hain
aqiq-o-nilam-o-lal-o-jawahar phenk aae hain
samundar mein ajab manzar shanawar phenk aae hain
teri yaaden teri baaten sabhi auraq-e-parina
hum ek ek kar ke sab dil-soz manzar phenk aae hain
talatum ho ki tufan ho ye dariya par karna hai
hum apni kashtiyan maujon ke andar phenk aae hain

Ghazal
Teri yaadon ki naqqashi khurach kar phenk aae hain
Nadeem Mahir