اردو हिंदी
Teri wafa mein mere intizar mein kya tha | Shaahi Shayari
teri wafa mein mere intizar mein kya tha

Ghazal

Teri wafa mein mere intizar mein kya tha

Masud Husain Khan

;

teri wafa mein mere intizar mein kya tha
KHizan ke dard mein zaKHm-e-bahaar mein kya tha

ye sochna tha na ho jaen is qadar majbur
ye dekhna tha tere iKHtiyar mein kya tha

labon ne phul tarashe nazar ne barsae
magar wo kawish-e-mizhgan-e-yar mein kya tha

udhar KHayal tha ruKHsar-o-chashm-o-lab ka idhar
KHabar nahin dil-e-ummid-war mein kya tha

nazar ke kanTe pe tul kar subuk hue na garan
tawazun-e-nigah-e-nau-bahaar mein kya tha

nigah mein ramz-e-ghazal lab pe maqta-e-tamkin
bayan to kijiye us iKHtisar mein kya tha

labon ko tum ne to 'masud' si liya tha magar
tabassum-e-nigh-e-raaz-dar mein kya tha