teri umid tera intizar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu
kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai
agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale
sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai
Ghazal
Teri umid tera intizar jab se hai
Faiz Ahmad Faiz