teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai
bala hai sitam hai ghazab hai qayamat duhai duhai duhai duhai
haqiqat ne chakkar mein Dala tha hum ko tariqat bure waqt par kaam aai
hama-dast ka masala jab hai aage to kaisi dui aur kaisi judai
udhar pas chilman ke maujud the wo idhar the pareshan un ke fidai
raha sharm-o-shoKHi ka dilkash tamasha na jalwa dikhaya na surat chhupai
madad kar zara aur ai josh-e-ulfat ki arman dil ka nikal jae dil se
kabhi jalwa-gah tak guzar ho hamara abhi rahguzar tak hui hai rasai
bharam khul gaya us se ayyariyon ka khula raaz bhi us se makkariyon ka
churaya tha tum ne agar dil hamara to dil ko chura kar nazar kyun churai
udhar sab se parda idhar sab mein jalwa yahan war aalim wahan aur manzar
kahin wo ayan hai kahin wo nihan hai kabhi husn-poshi kabhi KHud-numai
jahan mein bashar un se ho be-talluq koi man le hum na manenge us ko
ki chaaron taraf hain yahi chaar chizen mohabbat adawat bhalai burai
barabar hain dair-o-haram ke maraatib masawi hain donon gharon ki haqiqat
nahin farq kuchh bhi hamari nazar mein wahi but-parasti wahi jubba-sai
jinhen aish-o-rahat ka arman hoga unhen aish-o-rahat ka arman hoga
tumhaari mohabbat mein hum ne bala se wo paya na paya ye pai na pai
ye bartao kya hain ye atwar kya hain zara aap sochen zara aap samjhen
hamin par kisi roz chashm-e-inayat hamin se kisi waqt be-e'tinai
bahaar aae muzhda masarrat ka le kar dhuan-dhaar uTThin falak par ghaTaen
idhar jam chhalke udhar tauba TuTe baham zohd-o-rindi mein ho hatha-pai
agar ho koi ru-shanasi ka talib to pahle muqallid bane aaine ka
kudurat se allah mahfuz rakkhe baDi shai hai duniya mein dil ki safai
ye tauqir-o-tahqir mein bahs kaisi ki hain donon baaten KHuda ki taraf se
wo rai ko chahe to parbat bana de wo parbat ko chahe to ban jae rai
kisi ko rulao kisi ko jalao kisi ko satao kisi ko miTao
KHudai ka gham kya zamane ka Dar kya tumhaara zamana tumhaari KHudai
hazaron bakheDe hazaron jhamele hazaron tawahhum hazaron taraddud
magar aap aaen to mehman rakh lun mere dil mein ab bhi hai utni samai
jo bande KHuda ke KHuda par na rakkhen to rakkhen bharosa KHudai mein kis par
banaya unhen ahl-e-hajat usi ne karega wahi un ki hajat-rawai
ye andher khata ye kufran-e-neamat zamane ko ai 'nuh' kya ho gaya hai
KHuda ke karam se to beDa na Dube magar pae shohrat teri na-KHudai
Ghazal
Teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai
Nooh Narvi

