teri tirchhi nazar ka tir hai mushkil se niklega
dil us ke sath niklega agar ye dil se niklega
shab-e-gham mein bhi meri saKHt-jaani ko na maut aai
tera kaam ai ajal ab KHanjar-e-qatil se niklega
nigah-e-shauq mera muddaa tu un ko samjha de
mere munh se to harf-e-arzu mushkil se niklega
kahan tak kuchh na kahiye ab to naubat jaan tak pahunchi
takalluf-bar-taraf ai zabt nala dil se niklega
tasawwur kya tera aaya qayamat aa gai dil mein
ki ab har walwala bahar mazar-e-dil se niklega
na aaenge wo tab bhi dil nikal hi jaega 'fani'
magar mushkil se niklega baDi mushkil se niklega
Ghazal
Teri tirchhi nazar ka tir hai mushkil se niklega
Fani Badayuni