اردو हिंदी
Teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to | Shaahi Shayari
teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to

Ghazal

Teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to

Mirza Azfari

;

teri tegh abru ki Tuk samne kar dekhen to
bachche KHurshid bhi rakh munh pe sipar dekhen to

mere KHurshid-laqa did ki Tuk ruKHsat de
tere didar ko phir ek nazar dekhen to

tegh tole hue kandhe pe jo aaya hai sawar
o sajile mere ghoDe se utar dekhen to

mar gaya jo use kahte hain hua aaj visal
ji racha zist se is hijr mein mar dekhen to

bah chuka KHana-e-dil aankh tak aa pahunchi sail
roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to

aa ke aankhon ka shabistan mera raushan kar de
wo din aata hai kab ai nur-e-basar dekhen to

hai masal ghussa utar jata hai panw pe gire
qadmon par us ke bhala sar ko bhi dhar dekhen to

din bahut bit gae galiyan hain suni tujh bin
jaani ban-Than zari aa jao idhar dekhen to

sab kahen guzri pa guzri na ku-e-dil-bar mein
rahe jaan 'azfari' is se bhi guzar dekhen to