teri taswir se rahmat barasti hai guru-nanak
kare tarif teri kis ki hasti hai guru-nanak
hamein ummid hai jati rahegi teri koshish se
hamare mulk mein jo tang-dasti hai guru-nanak
miTaya naqsh tu ne dahr se baatil parasti ka
tere dam se zuhur-e-haq barasti hai guru-nanak
muKHalif ko tere kyunkar bulandi-e-maraatib ho
baghawat se natija us ka pasti hai guru-nanak
KHaridari na ho kyunkar tere bazar-e-talqin mein
najat-o-maghfirat ki jins sasti hai guru-nanak
banaegi muridon ko tere be-KHauf mahshar mein
sharab-e-nab-e-wahdat se jo masti hai guru-nanak
hisab-e-roz-e-mahshar se nahin kuchh 'barq' ko KHatra
jo teri yaad is ke dil mein basti hai guru-nanak
Ghazal
Teri taswir se rahmat barasti hai guru-nanak
Shyam Sunder Lal Barq