اردو हिंदी
Teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti | Shaahi Shayari
teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti

Ghazal

Teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti

Khalid Ebadi

;

teri talab mujhe hairan kyun nahin rakhti
sharik-e-mauja-e-imkan kyun nahin rakhti

main zaKHm zaKHm nahin hun magar masihai
mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti

main jhankne ke liye to na kahta duniya se
ye hoshiyar gareban kyun nahin rakhti

mujadila hi zaruri hai to chaman ka nam
bahaar jang ka maidan kyun nahin rakhti

ajab tarah ki mashaqqat mein Dal deti hai
zamin-e-KHalq mera dhyan kyun nahin rakhti

aziz-tar hai unhen KHwab to shikast-e-KHwab
meri misal pareshan kyun nahin rakhti