teri talash mein nikla to rasta hua main
so tere panw mein hun rah dekhta hua main
chaTaKH raha hun to ab is mein kya tajjub hai
KHud apne bojh tale hi raha daba hua main
kahin khincha raha duniya se misl-e-dast-e-faqir
misal-e-dast-e-tamanna kahin baDha hua main
ajib qaid thi jis mein bahut KHushi thi mujhe
ab ashk thamte nahin hain ye kya riha hua main
ye dekh ghaur se pahchan apni karigari
ki tere chaak se utra tha kal bana hua main
bas ek choT lagi thi ki band TuT gaya
aur apna-ap baha le gaya thama hua main
zamane dekhte hain kitni der chalti hai
bahut Data hua tu hai bahut jama hua main
Ghazal
Teri talash mein nikla to rasta hua main
Bilal Ahmad