teri talash mein jo KHud ko bhul aae the 
pata wo apna kabhi DhunDne na pae the 
kise KHabar thi ki phulon mein bhi hunar hai wahi 
kis ehtiyat se kanTon se bach ke aae the 
wo be-hisi ka tha aalam zara KHabar na hui 
ki raushni thi sar-e-rahguzar ki sae the 
kinare dur bahut dur the tu majburan 
samundaron mein hi logon ne ghar basae the 
har ek bund kai bijliyon ki hamil thi 
shadid barkha ne basti ke ghar jalae the 
ye kaise bojh chale aae phir se palkon par 
ki ek zamane par hum aaj muskurae the
        Ghazal
Teri talash mein jo KHud ko bhul aae the
Parvin Sheer

