teri talash mein guzre kai zamane mujhe
KHuda hi jaane tu jaane hai ya na jaane mujhe
dhuan dhuan hain jahan par KHayal ki rahen
misal-e-gard uDaya teri hawa ne mujhe
na is tarah mujhe dekho ki jaise patthar hun
jo ho sake to pukaron kisi bahane mujhe
wo baat baat pe hansna teri ada hi sahi
tamam umr rulaya hai is ada ne mujhe
laga hai jab bhi koi zaKHm muskuraya hun
ye tab di hai tere dard-e-la-dawa ne mujhe
tasawwuraat ke sahra mein jal bujha hun 'salim'
na chhanw baKHshi kisi husn-e-gul-rida ne mujhe

Ghazal
Teri talash mein guzre kai zamane mujhe
Saleem Kashir