teri shikast ka elan to nahin karenge
jo tera kaam hai darban to nahin karenge
siyah-raat ke aangan mein kud kar hum log
diye jalaenge nuqsan to nahin karenge
main apni zat ki hairat-sara se guzra hun
ye tajarbe mujhe hairan to nahin karenge
ye Thik hai ki zaruri hai kar-girya bhi
magar ye hijr ke dauran to nahin karenge
ye sochna tha tumhein daere banate hue
ye pech tum ko pareshan to nahin karenge
'zahir' us ki ragon ko lahu pila kar hum
zamin par koi ehsan to nahin karenge

Ghazal
Teri shikast ka elan to nahin karenge
Sanaullah Zaheer