teri samt jaane ka rasta nahin ho raha
rah-e-ishq mein koi moajiza nahin ho raha
koi aaina ho jo KHud se mujh ko mila sake
mera apne-ap se samna nahin ho raha
tu KHuda-e-husn-o-jamal hai to hua kare
teri bandagi se mera bhala nahin ho raha
koi raat aa ke Thahar gai meri zat mein
mera raushni se bhi rabta nahin ho raha
use apne honTon ka lams do ki ye sans le
ye jo peD hai ye hara-bhara nahin ho raha

Ghazal
Teri samt jaane ka rasta nahin ho raha
Azhar Iqbal