teri qudrat ki qudrat kaun pa sakta hai kya qudrat
tere aage koi qadir kaha sakta hai kya qudrat
tu wo yakta-e-mutlaq hai ki yaktai mein ab teri
koi shirk-e-dui ka harf la sakta hai kya qudrat
zamin se aasman tak tu ne jo jo rang range hain
ye rang-ameziyan koi dikha sakta hai kya qudrat
hazaron gul hazaron gul-badan tu ne bana Dale
koi miTTi se aise gul khila sakta hai kya qudrat
hue hain nur se jin ke zamin o aasman paida
koi ye chand ye suraj bana sakta hai kya qudrat
hawa ke farq par koi bana kar abr ka KHema
tanaben tar-e-baran ki laga sakta hai kya qudrat
jam o askandar o dara o kekaus o keKHusrau
koi is Dhab ke dil baadal bana sakta hai kya qudrat
kiya namrud ne go kibr se dawa KHudai ka
kahin us ka ye dawa pesh ja sakta hai kya qudrat
nikala tere ek pushte ne kafshin mar-e-maghz us ka
siwa tere KHuda koi kaha sakta hai kya qudrat
nikale lakDiyon se tu ne jis jis lutf ke mewe
koi peDon mein ye peDe laga sakta hai kya qudrat
tere hi KHwan-e-nema se hai sab ki parwarish warna
koi chyunTi se hathi tak khila sakta hai kya qudrat
hamari zindagani ko baghair az teri qudrat ke
koi pani ko pani kar baha sakta hai kya qudrat
tere husn-e-tajalli ka jahan zarra jhamak jawe
to phir musa koi wan tab la sakta hai kya qudrat
dam-e-isa mein wo tasir thi teri hi qudrat ki
wagarna koi murde ko jila sakta hai kya qudrat
tu wo mahbub chanchal hai ki bar-e-naz ko tere
baghair-az-mustafa koi uTha sakta hai kya qudrat
'nazir' ab taba par jab tak na faizan-e-ilahi ho
koi ye lafz ye mazmun bana sakta hai kya qudrat
Ghazal
Teri qudrat ki qudrat kaun pa sakta hai kya qudrat
Nazeer Akbarabadi