teri nigah ki jab se muawinat na rahi
kisi ke dil mein meri qadr-o-manzilat na rahi
do ek pal hi koi mujh pe multafit tha magar
tamam-umr kisi se muKHasamat na rahi
raha na qabza tere dil pe to tajjub kya
meri to apne ilaqe pe saltanat na rahi
koi bhi waqia ho pur-sukun hi rahta hai
lahu mein pahli si mauj-emuzahimat na rahi
KHabar nahin hai wahan gul khile ki dhul uDe
ghazal-e-dasht se meri murasalat na rahi
shah-e-suKHan se tere kaun muttafiq na ho ab
ki mere baad sada-e-muKHalifat na rahi
'salim' lab pe sajata tha jaise lafz wahi
ki us ke baad suKHan mein wo tamkanat na rahi
Ghazal
Teri nigah ki jab se muawinat na rahi
Saleem Sarfaraz