teri nigah-e-talattuf ne faiz aam kiya
KHirad ke shahr ke sab wahshiyon kun ram kiya
agarche tir-e-palak ne kiya tha dil barma
wale nigah ke KHanjar ne KHub kaam kiya
tere salam ke dhaj dekh kar mere dil ne
shitab aa ki mujhe ruKHsati salam kiya
na jaanun ishq ki bijli kidhar sin aai hai
ki mujh jigar ke khule kun jala tamam kiya
usi ke hath mein hai KHatam-e-sulaimani
nagin-e-dil pe jo naqsh us sanam ka nam kiya
mujhe nigah-e-taghaful raqib par altaf
ada-e-maslahat-amez ne ghulam kiya
ai aaftab teri zulmat-e-judai mein
'siraj' aah-e-sahar kun charagh-e-sham kiya
Ghazal
Teri nigah-e-talattuf ne faiz aam kiya
Siraj Aurangabadi