teri nazar sabab-e-tishnagi na ban jae
kahin sharab meri zindagi na ban jae
kabhi kabhi to andhera bhi KHub-surat hai
tera KHayal kahin raushni na ban jae
bhaDak na jae kahin sham-e-ilm-o-danish bhi
junun junun hi rahe aagahi na ban jae
main Dar raha hun kahan tera samna hoga
tera wajud hi meri kami na ban jae
tere baghair zamane ko munh dikha na sakun
ye zindagi kahin sharmindagi na ban jae
jahan mein hai ki kamin-gah mein KHuda jaane
ab is qadar bhi subuk aadmi na ban jae
ye wahm dil ko satata hai ru-ba-ru tere
ye teri did kahin aaKHiri na ban jae
tarab ki bazm mein kam kam fasurdagi ai 'shaz'
kahin mizaj ki uftad hi na ban jae
Ghazal
Teri nazar sabab-e-tishnagi na ban jae
Shaz Tamkanat