teri nazar ke ishaaron se khel sakta hun
jigar-faroz shararon se khel sakta hun
tumhaare daman-e-rangin ka aasra le kar
chaman ke mast nazaron se khel sakta hun
kisi ke ahd-e-mohabbat ki yaad baqi hai
baDe hasin sahaaron se khel sakta hun
maqam-e-hosh-o-KHirad intiqam-e-wahshat hai
junun ki rah-guzaron se khel sakta hun
mujhe KHizan ke bagule salam karte hain
haya-farosh chanaron se khel sakta hun
sharab o sher ke dariya mein Dub kar 'saghar'
surur-o-kaif ke dhaaron se khel sakta hun

Ghazal
Teri nazar ke ishaaron se khel sakta hun
Saghar Siddiqui