teri nazar ke ishaaron ko nind aai hai
hayat-baKHsh sahaaron ko nind aai hai
tere baghair tere intizar se thak kar
shab-e-firaq ke maron ko nind aai hai
sahar qarib hai arman udas dil gham-gin
falak pe chand sitaron ko nind aai hai
tere jamal se tabir the jo ulfat mein
ab un hasin nazaron ko nind aai hai
har ek mauj hai sakit yam-e-mohabbat ki
mere baghair kinaron ko nind aai hai
chaman mein zahmat-e-gulgasht aap farmaen
ye sun raha hun bahaaron ko nind aai hai
kaho ye saqi-e-sahba-nawaz se 'qaisar'
phir aaj baada-gusaron ko nind aai hai
Ghazal
Teri nazar ke ishaaron ko nind aai hai
Qaisar Nizami