teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain
mere nasib ke tare badal bhi sakte hain
main apni naw bhanwar se nikal laya hun
magar ye Dar hai kinare badal bhi sakte hain
amir-e-shahr ki taqrir hone wali hai
sahar talak ye nazare badal bhi sakte hain
ye daur wo hai ki ghairon ka kya kahen sahab
hamare haq mein hamare badal bhi sakte hain
Ghazal
Teri nazar ke ishaare badal bhi sakte hain
Ashfaq Rasheed Mansuri