teri mahfil mein farq-e-kufr-o-iman kaun dekhega
fasana hi nahin koi to unwan kaun dekhega
yahan to ek laila ke na jaane kitne majnun hain
yahan apna gareban apna daman kaun dekhega
bahut nikle hain lekin phir bhi kuchh arman hain dil mein
ba-juz tere mera ye soz-e-pinhan kaun dekhega
agar parde ki jumbish se larazta hai to phir ai dil
tajalli-e-jamal-e-ru-e-jaanan kaun dekhega
agar hum se KHafa hona hai to ho jaiye hazrat
hamare baad phir andaz-e-yazdan kaun dekhega
mujhe pi kar bahakne mein bahut hi lutf aata hai
na tum dekhoge to phir mujh ko farhan kaun dekhega
jise kahta hai ek aalam 'aziz'-e-waris-e-alam
use aalam mein hairan-o-pareshan kaun dekhega
Ghazal
Teri mahfil mein farq-e-kufr-o-iman kaun dekhega
Aziz Warsi