teri jabin pe meri subh ka sitara hai
tera wajud meri zat ka ujala hai
harif-e-partaw-e-mahtab hai jamal tera
kuchh aur lagta hai dilkash jo dur hota hai
mere yaqin ki masumiyat ko mat Toko
meri nigah mein har naqsh ek tamasha hai
nazar to aae koi rah zindagani ki
tamam aalam-e-imkan ghubar-e-sahra hai
na aarzu se khula hai na justuju se khula
ye husn-e-raaz jo har shai mein kar-farma hai
gham-e-hayat raha hai hamara gahwara
ye hum se puchh dil-e-dard aashna kya hai
charagh le ke use DhunDne chala hun main
jo aaftab ki manind ek ujala hai
jo hum ko bhul gae un ko yaad kyun kije
tamam raat koi chupke chupke kahta hai
kahan kahan liye phirti hai zindagi ab tak
main us jagah hun jahan dhup hai na saya hai
Ghazal
Teri jabin pe meri subh ka sitara hai
Akhtar Saeed Khan