teri jab nind ka daftar khula tha
yaqinan ek ek manzar khula tha
use tum chand se tashbih dena
ki us ke hath mein KHanjar khula tha
suna diwar-o-dar kya kah rahe hain
hamari piTh par nashtar khula tha
nahin ki tang thin apni qabaen
tumhaare jism ka paikar khula tha
badalte mausamon ki tan TuTi
ghaTaon par mera saghar khula tha
pari-paikar se jab bhi baat hoti
maze ki baat hai aksar khula tha
kisi ke hath soe the sirhane
kisi ke hath mein KHanjar khula tha
uDanen jab bhi thin mahdud 'khullar'
hamare nam ka shah-par khula tha
Ghazal
Teri jab nind ka daftar khula tha
Vishal Khullar