teri gali si kisi bhi gali ki shan nahin
ki is zamin pe sunte hain aasman nahin
mizha se baDh ke nahin hai jo koi tir-e-hasin
tumhaare abru se dilkash koi kaman nahin
sisak rahe hain jo saDkon pe sainkaDon insan
tumhaare shahar mein shayad koi makan nahin
yahin bahisht hai yaro yahin hai dozaKH bhi
ki is jahan se aage koi jahan nahin
meri KHamoshi ka matlab nahin qarar-o-sukun
bhara hai dard se dil taqat-e-bayan nahin
adu ko dete hain tarjih mujh se KHadim par
bure-bhale ke pari-wash mizaj-dan nahin
hamare shahar mein har ek is tarah chup hai
ki jaise munh mein kisi shaKHs ke zaban nahin
ye ashk manzil-e-aKHir hain ishq ki hamdam
ki in sitaron se aage koi nishan nahin
ho 'faKHr' KHak mujhe qaum ki taraqqi par
jo fard-e-qaum ye mazdur aur kisan nahin
Ghazal
Teri gali si kisi bhi gali ki shan nahin
Fakhr Zaman