teri gali mein gae kitne mah o sal hue
guzar gae kai mausam hamein bahaal hue
zaban mein thi abhi luknat ki harf-e-ishq kaha
laDakpana tha ki zanjir-e-KHadd-o-KHal hue
main muskuraata raha aur muskuraata raha
sawal mujh pe kai mere hasb-e-haal hue
nahin ki kohkan o qais ka zamana nahin
magar ye baat ki ye log KHal KHal hue
Thahar gaya sawa neze pe aan kar suraj
guzar gain kai sadiyan hamein zawal hue
phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di
phir aansuon mein nihan us ke KHad-o-KHal hue
misal-e-naqsh-e-kaf-e-pa na uTh sake 'tahsin'
ba-rang-e-sabza hum is darja paemal hue
Ghazal
Teri gali mein gae kitne mah o sal hue
Tahseen Firaqi