teri dosti ka kamal tha mujhe KHauf tha na malal tha
mera rom rom tha hairati mera dil bhi mahw-e-dhamal tha
koi shaKH-e-girya lipaT gai mere sukhte hue jism se
main KHizan ki rut mein hara hua ye darud hi mein kamal tha
abhi reg-e-dasht pe sabt hain sabhi naqsh mere sujud ke
wo jo marke ka sabab hua wahi harf-e-haq meri Dhaal tha
meri rakh mein thin kahin kahin mere ek KHwab ki kirchiyan
mere jism-o-jaan mein chhupa hua teri qurbaton ka KHayal tha
inhi hairaton mein basar hui na KHabar hui ki sahar hui
ye tamam arsa-e-zindagi ki muhit-e-sham-e-visal tha
Ghazal
Teri dosti ka kamal tha mujhe KHauf tha na malal tha
Aatif Waheed u0027Yasiru0027