teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sambhaal bhi
jo ye jal-tarang zara baja to ye Dal dega dhamal bhi
na uchhaal jhil mein kankari ki ye KHaufnak sa khel hai
isi khel mein na utar paDe teri aankh par ye wabaal bhi
kai log morcha-band KHauf ki ret mein hain karam karam
tere hath mein ye jo sang hai kisi samt us ko uchhaal bhi
ai mukarti aankh adawaten tu qayam bhi hain sabaat bhi
tere sath dushmani ek taraf nahin dosti ki majal bhi
tere tark-e-rah ke faisle ka jawaz main nahin mangta
magar aane wala koi to waqt uThaega ye sawal bhi
yad-e-baiza ki tu hai malkin ai safed sang ki murti
teri aankh dariya-e-nil hai meri raat koi nikal bhi
Ghazal
Teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sambhaal bhi
Tanveer Monis