teri barq-pash-nigah se tere hashr-KHez-KHiram se
ba-sukun-e-qalb guzar gaya main har ek aise maqam se
meri zindagi ke ye marhale hama-ittiqa hama-bandagi
mujhe kaif un ki nazar se hai koi wasta nahin jam se
wo laja gae wo jhijhak gae wo Thahar gae kisi soch mein
sar-e-rah kisi ne jo dafatan unhen di sada mere nam se
main hun sham-e-mahfil-e-jawedan meri zindagi nahin muKHtasar
main charagh-e-rahguzar nahin jo bujha bujha sa ho sham se
wo lihaz-e-pir-e-mughan nahin wo mazaq-e-baada-kashi kahan
hamein phir ata ho mai-e-kuhan nae daur mein nae jam se
tera zikr sun ke taDap uTha tera nam le ke main ro diya
mujhe ek nisbat-e-KHas hai tere zikr se tere nam se
na raha 'mushir' hi tishna-lab sar-e-bazm saqi-e-be-KHabar
koi baada-kash nahin mutmain tere mai-kade ke nizam se
Ghazal
Teri barq-pash-nigah se tere hashr-KHez-KHiram se
Mushir Jhanjhanvi