اردو हिंदी
Teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha | Shaahi Shayari
teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha

Ghazal

Teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha

Shakeel Badayuni

;

teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha
kahin zindagi ki barish kahin qatl-e-am dekha

In your realm O cruel one, how strange prevails the scene
Life giving showers are often seen with massacres between

meri arz-e-shauq paDh len ye kahan unhen gawara
wahin chaak kar diya KHat jahan mera nam dekha

Expressions of my love for her, she cares not to peruse
The moment that she sees my name, tears it to smithereen

baDi minnaton se aa kar wo mujhe mana rahe hain
main bacha raha hun daman mera intiqam dekha

Pleading she does come to me, attempting to placate
I turn my back to her behold, my vengeance needs be seen

ai 'shakil' ruh-parwar teri be-KHudi ke naghme
magar aaj tak na hum ne tere lab pe jam dekha

Shakeel your songs of sadness are so soulfully sublime
Yet through your lips a drop of wine never has there been