teri aankhon mein ek mubham fasana DhunDh hi lega
dil-e-barbaad jine ka bahana DhunDh hi lega
ye duniya hai yahan har aabgina TuT jata hai
kahin chhupte phiro aaKHir zamana DhunDh hi lega
kisi ka naqsh-e-pa to mil hi jaega jo aankhen hain
agar sar hai to koi aastana DhunDh hi lega
kahin to umr bhar ki be-qarari le hi jaegi
koi dasht-e-junun tera diwana DhunDh hi lega
'jamil' ek gham-e-farosh-e-wadi-e-ghurbat sahi lekin
tumhaare shahar mein koi Thikana DhunDh hi lega
Ghazal
Teri aankhon mein ek mubham fasana DhunDh hi lega
Ataur Rahman Jameel