tere taqazon pe chehre badal raha hun main
nae zamane tere sath chal raha hun main
charagh-e-aKHir-e-shab hun magar abhi suraj
sukun se tu nikalna ki jal raha hun main
ye chahta hun ki har ruKH se dekh lun duniya
ye zawiye jo nazar ke badal raha hun main
nai hawaen abhi sab gharon tak aai nahin
abhi to hath ka pankha hi jhal raha hun main
mere nashe mujhe ab laDkhaDane mat dena
sharab-KHane se bahar nikal raha hun main
zara sa waqt hai aur dur meri manzil hai
isi liye to bahut tez chal raha hun main
Ghazal
Tere taqazon pe chehre badal raha hun main
Azhar Inayati

