tere sanche mein Dhalta ja raha hun
tujhe bhi kuchh badalta ja raha hun
na jaane tujh ko bhula hun ki KHud ko
bahar-surat sambhalta ja raha hun
tabiat hai abhi tiflana meri
khilaunon se bahalta ja raha hun
haqiqat ko mukammal dekhna hai
nazar ke ruKH badalta ja raha hun
chala hai mujh se aage mera saya
so main bhi sath chalta ja raha hun
ye chaha tha ki patthar ban ke ji lun
so andar se pighalta ja raha hun
bahut nazan hun mahrumi pe apni
isi par hath milta ja raha hun
kisi ka wada-e-farda nahin main
tu kyun farda pe Talta ja raha hun

Ghazal
Tere sanche mein Dhalta ja raha hun
Saleem Ahmed