tere samne to samajh raha tha ki phul tha 
tujhe kya KHabar ki ye aaina tha ki phul tha 
tera panw sham pe aa gaya tha ki chand tha 
tera hijr subh ko jal uTha tha ki phul tha 
tera husn-e-sehr tha mumkinat ki had na thi 
kaf-e-dast par tere KHar uga tha ki phul tha 
wo kamal ruKH tha kiran thi us pe kali bhi thi 
jo gale mila sar-e-shab diya tha ki phul tha 
ye chaman bahisht ke the ki man ka wajud tha 
ye dua ka hath mahak uTha tha ki phul tha
        Ghazal
Tere samne to samajh raha tha ki phul tha
Mohammad Izhar ul Haq

