tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main jaanta hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to wo samjhega bad-guman mujhe
bura bhala hi sahi kuchh to bol aaun main
phir us ke baad talluq mein fasle honge
mujhe sambhaal ke rakhna bichhaD na jaun main
mohabbaton ki parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein niklun tujhe na paun main
Ghazal
Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
Iftikhar Imam Siddiqi