tere munh chhupate hi phir mujhe KHabar apni kuchh na zari rahi
na firaq tha na visal tha rahi ek to be-KHabari rahi
tu hamesha ai but-e-mah-laqa raha mahw apni hi shakl ka
tere aks-e-husn ki aarasi tere samne hi dhari rahi
tere ahd-e-husn mein yak zaman na junun se mujh ko mili aman
wahi nala aur wahi fughan wahi mashq-e-jama-dari rahi
koi howe kyunke na tang-dil tere dil mein ai but-e-sang-dil
asar aah apni ne ye kya ki rahin-e-be-asari rahi
na KHat aae par bhi kami paDi teri shan-e-husn mein yak zari
wahi qad ki fitnagari rahi wahi ruKH ki jalwagari rahi
kabhi dil liya kabhi din liya kabhi zar liya kabhi sar liya
yunhi apni muft-dahi rahi wahi us ki muft-bari rahi
na kamal-e-auj se tu gira kabhi fikr-e-sher mein 'mushafi'
ghazal aur bhi kahi tu ne gar wahi teri tez-pari rahi
Ghazal
Tere munh chhupate hi phir mujhe KHabar apni kuchh na zari rahi
Mushafi Ghulam Hamdani