tere mizhgan ki faujen bandh kar saf jab huin khaDiyan
kiya aalam ko sare qatl lo thin har taraf paDiyan
dam apne ka shumar is tarah tere gham mein karta hun
ki jaise shisha-e-saat mein ginta hai koi ghaDiyan
hamin ko KHana-e-zanjir se ulfat hai zindan mein
wagarna ek jhaTke mein juda ho jaen sab kaDiyan
tujhe dekha hai jab se bulbul-o-gul ne gulistan mein
paDi hain rishta-e-ulfat mein un ke tab se gul-chhaDiyan
fughan aata nahin wo shoKH mere hath ai 'taban'
lakiren ungliyon ki miT gain ginte hue ghaDiyan

Ghazal
Tere mizhgan ki faujen bandh kar saf jab huin khaDiyan
Taban Abdul Hai