tere milne ko bekal ho gae hain
magar ye log pagal ho gae hain
bahaaren le ke aae the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gae hain
yahan tak baDh gae aalam-e-hasti
ki dil ke hausle shal ho gae hain
kahan tak tab lae na-tawan dil
ki sadme ab musalsal ho gae hain
nigah-e-yas ko nind aa rahi hai
mizha par ashk bojhal ho gae hain
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gae hain
jinhen hum dekh kar jite the 'nasir'
wo log aankhon se ojhal ho gae hain
Ghazal
Tere milne ko bekal ho gae hain
Nasir Kazmi