tere mariz ko ai jaan shifa se kya matlab
wo KHush hai dard mein us ko dawa se kya matlab
faqat jo zat ke hain dil se chahne wale
unhen karishma-o-naz-o-ada se kya matlab
nihaal-e-taza rahen namiya ke minnat-kash
daraKHt-e-KHushk ko nashw-o-numa se kya matlab
murad-o-maqsad-o-matlab hain sab hawas ke sath
hawas hi mar gai phir muddaa se kya matlab
mujhe wo puchhe to us ka hi lutf hai warna
wo baadshah hai use mujh gada se kya matlab
jo apne yar ke jaur-o-jafa mein hain masrur
unhen phir aur ke mehr-o-wafa se kya matlab
raza-e-dost jinhen chahiye bahar-surat
'nazir' phir unhen apni raza se kya matlab
Ghazal
Tere mariz ko ai jaan shifa se kya matlab
Nazeer Akbarabadi