tere KHulus ke qisse suna raha hun main
purana qarz hai ab tak chuka raha hun main
KHuda kare ki wahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juTa raha hun main
safar kahan se kahan tak pahunch gaya mera
ruke jo panw to kandhon pe ja raha hun main
samaaton ke sabhi dar yahan muqaffal hain
na jaane kab se sadaen laga raha hun main
laga hun aaj hifazat mein KHud charaghon ki
kai dinon to muKHalif hawa raha hun main
ye aql, hosh, nazar, KHwab, lams, goyai
lo aaj daw pe sab kuchh laga raha hun main
ki jab bhi chahen unhen DhunD len meri aanhken
is ehtiyat se manzar saja raha hun main
mere baghair koi tum ko DhunDta kaise
tumhein pata hai tumhaara pata raha hun main
Ghazal
Tere KHulus ke qisse suna raha hun main
Sarfraz Nawaz