tere KHayal, tere KHwab, tere nam ke sath
bani hai KHak meri kitne ehtimam ke sath
bahut se phul the aur sare achchhe rangon ke
saba ne bheje the jo kal tere payam ke sath
nazar Thaharti na thi us pe aur KHud par bhi
main aaine mein thi kal ek lala-fam ke sath
tere KHayal se raushan hai sar-zamin-e-suKHan
ki jaise zinat-e-shab ho mah-e-tamam ke sath
phir aa gai hai mere dar pe kya wahi duniya?
main kar ke aai thi ruKHsat jise salam ke sath
suna hai phul jhaDe the jahan tere lab se
wahan bahaar utarti hai roz sham ke sath
KHushi ke waste kab koi din muqarrar tha
magar ye dil mein ruki hai tere KHiram ke sath

Ghazal
Tere KHayal, tere KHwab, tere nam ke sath
Narjis Afroz Zaidi