tere KHayal se lo de uThi hai tanhai
shab-e-firaq hai ya teri jalwa-arai
tu kis KHayal mein hai manzilon ke shaidai
unhen bhi dekh jinhen raste mein nind aai
pukar ai jars-e-karwan-e-subh-e-tarb
bhaTak rahe hain andheron mein tere saudai
Thahar gae hain sar-e-rah KHak uDane ko
musafiron ko na chheD ai hawa-e-sahrai
rah-e-hayat mein kuchh marhale to dekh liye
ye aur baat teri aarzu na ras aai
ye saneha bhi mohabbat mein bar-ha guzra
ki us ne haal bhi puchha to aankh bhar aai
dil-e-fasurda mein phir dhaDkanon ka shor uTha
ye baiThe baiThe mujhe kin dinon ki yaad aai
main sote sote kai bar chaunk chaunk paDa
tamam raat tere pahluon se aanch aai
jahan bhi tha koi fitna taDap ke jag uTha
tamam hosh thi masti mein teri angDai
khuli jo aankh to kuchh aur hi saman dekha
wo log the na wo jalse na shahr-e-ranai
wo tab-e-dard wo sauda-e-intizar kahan
unhi ke sath gai taqat-e-shakebai
phir us ki yaad mein dil be-qarar hai 'nasir'
bichhaD ke jis se hui shahr shahr ruswai
Ghazal
Tere KHayal se lo de uThi hai tanhai
Nasir Kazmi