tere KHayal ko bhi fursat-e-KHayal nahin
judai hijr nahin hai milan visal nahin
mere wajud mein aisa sama gaya koi
gham-e-zamana nahin fikr-e-mah-o-sal nahin
use yaqin ke suraj se hi ubharna hai
wo sail-e-wahm mein bahta hua jamal nahin
dahak uThe mere aariz mahak uThin sansen
phir aur kya hai agar ye tera KHayal nahin
na-jaane kitne jahan muntazir hain tere liye
tere uruj ki pahle kahin misal nahin
Ghazal
Tere KHayal ko bhi fursat-e-KHayal nahin
Shaziya Akbar