tere KHayal ke sadqe ye kya maqam aaya
kabhi hayat kabhi maut ka payam aaya
tera KHayal mera soz-e-arzu-e-sahar
koi to tha shab-e-furqat jo dil ke kaam aaya
kisi umid ka mara dikhai deta tha
wo KHush-nasib parinda jo zer-e-dam aaya
kisi ke KHat mein kahen zikr tak na tha us ka
wo ek payam-e-KHususi jo dil ke nam aaya
na puchh kitni hayat-afrin hai rah-e-wafa
suna hai 'dil' bhi usi marhale mein kaam aaya
Ghazal
Tere KHayal ke sadqe ye kya maqam aaya
Dil Ayubi

